Tum hee tum dil mein magar
bastay rahay,
Kaisay kaisay haadsay sehtay rahay,
Ham yuun hee jeetay rahay hanstay rahay,
Uskay aa jaanay kee ummeedein liye,
Raasta mud mud kay ham taktay rahay,
Waqt tou guzraa magar kuchh iss tarah ,
Ham charaagon kee tarah jaltay rahay,
Kitnay chehray thay hamaaray aas paas,
Tum hee tum dil mein magar bastay rahay,
compiled by,
Pankaj rai..

--------------------------------------------------------------
For being good u need not to b a SUPERMAN...
[