Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   


BLOGS   WRITE NEW BLOG   EDIT BLOGS  
 
RSS
Daily Quran and Hadith
Posted On 13/05/2009 17:12:52 by Founder
IN THE NAME OF "ALLAH"
Assalamu'alaikum Wa Rahmatullah e Wa Barakatuhu,



ALLAH said to Moosa (A.S),

"Aye Moosa mujh se us zubaan se dua mang k jis say tu ne gunah na kiya ho.

Moosa(A.S) replied,"Aye ALLAH main wo zuban kahan se laun."

ALLAH ne jawab diya ke, Tum apne liye dua doosron se karwao, kyon ke
tum ne unki zuban se koi gunah nahi kiya".

Log pyaar ke liye hote hain aur cheezen istemaal ke liye, baat tab
bigadti hai jab cheezon sey pyaar aur logon ko istemaal kiya jaye.
(Hazrat Ali (R.A)



HADIS MAFHUM

-Jo shaks har waqt Bawuzu rahega ALLAH uski rozi kushada farmaega.

-ALLAH ki khushi BAAP ki khushi mein hai or ALLAH ki narazgi BAAP ki
narazgi mein hai

-Sood khaney wale ki dua Qabool nahi hoti

-Jis ne apni Namazon ki fikar chod di, ALLAH ne uski fiqar chod di

-Agar koi shaks har Farz Namaz k baad AYAT-AL-KURSI padhay, to us ke
aur Jannat ke darmiyan ka fasla sirf maut hai

-ALLAH us shaks ko abaad karta hai jo hadees sun k doosron tak pahunchata hai.



Hadis-E-Mubarak ka mafhoom:

Jo shakhs wuzoo karne se pehle PEHLA KALMA padh le to wazoo k har har
qatre par ALLAH ek farishta paida kare ga jo qayamat tak pehla kalma
padhta rahe ga aur uska sawab us shakhs ko milta rahe ga.



AAP (S.A.W.S) Ney Farmaya

Jab 3 Kaifiyatein ho To Fauran DUA Mango, Us Waqt DUA Rad Nahi Hogi

1.. Jab Jism Kaanp Uthey

2. DiL Mein Khauf Ajaye

3. Ankhon Se Aansu Jari ho.

AAP(S.A.W.W) ne farmaya: "jo koi bhi ye khabar logon tak pahunchayega,
Qayamat K din JANNAT me uske liye mukam mere zimmah hoga.

Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya Ramazan k baad afzal roza
Allah ke mahiney Muharam ka roza hai aur farz namaz k baad afzal namaz
Tahajjud ki namaz hai (Muslim)



"Hadees Pak"

1. Insan Zuban ke Parday may Chupa hua hai.

2. Maut ko Yaad Zarur Rakho magar Uski Tamanna mat karo.

3. Gunaho per Nidamat Gunah ko Mita deti hai aur Neki per Gharoor Neki
ko Tabah ker deta hai.

4. Hamesha Sach Baat kaho Taakay Tumhain Qasam khaani na Padhey.



GOD BLESS U

Kamyab darasal wo hai jo aatish-e-jahannam se bach gaya , aur Jannat
mein daakhil ho gaya aur yeh duniya ki zindagi to sirf dhoke ka saman
hai (Al-Imran 18)



Hamesha DUA mangte raho

kyun ke Mumkin aur Na-Mumkin to Sirf Hamari "SOCH" mein hai

ALLAH k liye to kuch bhi Na Mumkin nahi hai. Hazrat Ali(R.A)



Anmol Batein:

1] ALLAH dey k bhi azmata hay lay k bhi azmata hay

2] Gunah mein lazzat zaroor hai magar sukoon nahi

3] Baat alfaaz ki nahi lehje ki hoti hai

4] kisi k baray mein bura mat socho, ho sakta hai wo Allah ki nazar
mein hum se behtar ho.



Jab ek Momin doosre momin ki bhalai wali ghaibana Dua mangta hai to
farishta Aameen kehta hai aur saath ye bhi kehta hai ke ALLAH tujhe
bhi waisi hi bhalai Ata Farmaye



In Happy Moments - THINK ALLAH

Difficult Moments - SEEK ALLAH

Quite Moments - WORSHIP ALLAH

Painful Moments - TRUST ALLAH &

Moment By Moment - THANK ALLAH.



Jis ki namaz achi

us ki zindagi achi

jis ki zindagi achi

us ki maut achi

jis ki maut achi

us ki khabar achi

jis ki khabar achi

us ki akhirat achi

jis ki akhirat achi

us ki jannat pakki

so dont miss "Namaz"

Do Remember me in your precious prayers.

Tags: Daily Quran And Hadith



Bookmark:



Viewing 1 - 4 out of 4 Comments

18/01/2012 20:31:39

allah hum sab ko hadees pe amal karne 

wala bana de aamin......




SCRAPBOOK

22/01/2011 14:20:16

god bless u


 




SCRAPBOOK

22/01/2011 14:19:27

i like and accept it




SCRAPBOOK

13/05/2009 22:12:02

JazakAllahukhairan




SCRAPBOOK





*** NkuT.Com ***