Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   


BLOGS   WRITE NEW BLOG   EDIT BLOGS  
 
RSS
Pardes me Tanha Rahne Walon ki Faryaad )
Posted On 21/01/2008 09:17:19 by ranakumar
************ ********* ********* ********* ********* ********* *
Hum Unke Chehre Ko Dil me Basaaye Baithe hain
Shama bhi Yaad me unki Jalaaye Baithe hain
 
Ye Zindagi Jo hai Pardes ki Ajab si hai
Jigar me Dard hai Par Muskuraye Baithe hain
 
Kabhi kabhi Hame Khaajaati hai ye Tanhayi
To Sochte hain ke Kismat Lutaaye Baithe hain
 
Piyenge Unke Labon se Sharaab ko ek Din
Yahee hai Aas Jo Kab se Lagaaye Baithe hain
 
Milan to Hoga bohot Jald Dil Ye Kahta hai
Isee Qayaal me Armaa Jagaaye Baithe hain
 
Kabhi Kabhi Hame Nafrat si Qud Pe Hoti hai
Ye Hasraton ka Gala Kieun Dabaaye Baithe hain
 
Qushee To Ghar Ko Milegi, Hame Miley Na Miley
Yahee Wajeh hai Jo Pardes Aaye Baithe hain
 
Jo Pyas Raaton me Lagti hai Yaad me unki
Bujaayen Kaise Usey, Dil Jalaaye Baithe hain
 
Machalti Rahti hai Dil me, kuch isqadar Uljhan
Sharaaraton pe bhi Taala Lagaaye Baithe hain
 
Silagti Rahti hai Tan Man me Aag si, phir bhi
Hum Apne Nafs Ko Qaabu me Laaye Baithe hain
 
Tadapte Wo bhi To Honge, Hamari Yaadon me
Tasalli Deke Ye Dil ko Manaaaye Baithe hain
 
Bichad ke Apno se Jeena bhi Seekkar Ab Hum
Har Ek Dard Ko Dil me Chupaaye Baithe hain
 
Samaj ke Aaj bhi Pardesiyon ke Dil ko Bober
Jo Shaayeri me hi Sab Kuch Sunaaye Baithe hai
 




Bookmark:



Viewing 1 - 1 out of 1 Comments

21/01/2008 09:30:39
nICE ONE..



SCRAPBOOK





*** NkuT.Com ***